utaar lafzon ka ik zakheera ghazal ko taaza khayal de de
khud apni shohrat pe rashk aaye sukhun mein aisa kamaal de de
sitaare taskheer karne waala padosiyon se bhi be-khabar hai
agar yahi hai urooj-e-aadam to phir hamein tu zawaal de de
tiri taraf se jawaab aaye na aaye parwa nahin hai is ki
yahi bahut hai ki ham ko yaarab tu sirf izn-e-sawaal de de
hamaari aankhon se ashk tapken labon pe muskaan daudti ho
jo ham ne pehle kabhi na paaya tu ab ke aisa malaal de de
kabhi tumhaare qareeb rah kar bhi dooriyon ke azaab jhelen
kabhi kabhi ye tumhaari furqat bhi ham ko lutf-e-visaal de de
उतार लफ़्ज़ों का इक ज़ख़ीरा ग़ज़ल को ताज़ा ख़याल दे दे
ख़ुद अपनी शोहरत पे रश्क आए सुख़न में ऐसा कमाल दे दे
सितारे तस्ख़ीर करने वाला पड़ोसियों से भी बे-ख़बर है
अगर यही है उरूज-ए-आदम तो फिर हमें तू ज़वाल दे दे
तिरी तरफ़ से जवाब आए न आए पर्वा नहीं है इस की
यही बहुत है कि हम को यारब तू सिर्फ़ इज़्न-ए-सवाल दे दे
हमारी आँखों से अश्क टपकें लबों पे मुस्कान दौड़ती हो
जो हम ने पहले कभी न पाया तू अब के ऐसा मलाल दे दे
कभी तुम्हारे क़रीब रह कर भी दूरियों के अज़ाब झेलें
कभी कभी ये तुम्हारी फ़ुर्क़त भी हम को लुत्फ़-ए-विसाल दे दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Taimur Hasan
our suggestion based on Taimur Hasan
As you were reading Yaad Shayari Shayari