ham tumhaare gham se baahar aa gaye | हम तुम्हारे ग़म से बाहर आ गए

  - Tehzeeb Hafi

ham tumhaare gham se baahar aa gaye
hijr se bachne ke mantr aa gaye

main ne tum ko andar aane ka kaha
tum to mere dil ke andar aa gaye

ek hi aurat ko duniya maankar
itna ghuma hoon ki chakkar aa gaye

imtihaan-e-ishq mushkil tha magar
naql kar ke achhe number aa gaye

tere kuchh aashiq to gangaram hain
aur jo baaki the bistar aa gaye

हम तुम्हारे ग़म से बाहर आ गए
हिज्र से बचने के मंतर आ गए

मैं ने तुम को अंदर आने का कहा
तुम तो मेरे दिल के अंदर आ गए

एक ही औरत को दुनिया मानकर
इतना घुमा हूँ कि चक्कर आ गए

इम्तिहान-ए-इश्क़ मुश्किल था मगर
नक़्ल कर के अच्छे नंबर आ गए

तेरे कुछ आशिक़ तो गंगाराम हैं
और जो बाक़ी थे बिस्तर आ गए

  - Tehzeeb Hafi

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Tehzeeb Hafi

As you were reading Shayari by Tehzeeb Hafi

Similar Writers

our suggestion based on Tehzeeb Hafi

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari