kahi jo koi ham dagar dekhte hain | कहीं जो कोई हम डगर देखते हैं - Sahil Verma

kahi jo koi ham dagar dekhte hain
wahin ik suhaana safar dekhte hain

kisi ko nahin hai kisi ki khabar par
sabhi sabko hi ba-khabar dekhte hain

sakhi ko hamaari nazar lag na jaaye
use khwaab mein raat bhar dekhte hain

kabhi jis jagah rahte the krishna radha
chalo prem ka vo nagar dekhte hain

ki aage ya peeche ki oopar ya neeche
tu hi dikhti hai ham jidhar dekhte hain

badalte hue dost ke bhaav mein ham
kisi ladki ka hi asar dekhte hain

kabhi peeche mudkar nahin dekha hamne
hamaare nayan bas shikhar dekhte hain

main to ladki ki saadgi dekhta hoon
mere dost unka figar dekhte hain

nahin rakha logon ke rangon mein kuch bhi
chalo rainbow ke color dekhte hain

bahu beti se hain jo nazrein churaate
vo aur ladki ko ghur kar dekhte hain

khuda ka bhi dar hai nahin unko jaise
vo sab qatl bhi is qadar dekhte hain

hamein roz ghar dekhne ki hai aadat
chalo aaj saahil ka ghar dekhte hain

कहीं जो कोई हम डगर देखते हैं
वहीं इक सुहाना सफ़र देखते हैं

किसी को नहीं है किसी की ख़बर पर
सभी सबको ही बा-ख़बर देखते हैं

सखी को हमारी नज़र लग न जाए
उसे ख़्वाब में रात भर देखते हैं

कभी जिस जगह रहते थे कृष्ण राधा
चलो प्रेम का वो नगर देखते हैं

कि आगे या पीछे कि ऊपर या नीचे
तू ही दिखती है हम जिधर देखते हैं

बदलते हुए दोस्त के भाव में हम
किसी लड़की का ही असर देखते हैं

कभी पीछे मुड़कर नहीं देखा हमने
हमारे नयन बस शिखर देखते हैं

मैं तो लड़की की सादगी देखता हूँ
मिरे दोस्त उनका फिगर देखते हैं

नहीं रक्खा लोगों के रंगों में कुछ भी
चलो रेनबो के कलर देखते हैं

बहू बेटी से हैं जो नज़रें चुराते
वो और लड़की को घूर कर देखते हैं

ख़ुदा का भी डर है नहीं उनको जैसे
वो सब क़त्ल भी इस क़दर देखते हैं

हमें रोज़ घर देखने की है आदत
चलो आज साहिल का घर देखते हैं

- Sahil Verma
0 Likes

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sahil Verma

As you were reading Shayari by Sahil Verma

Similar Writers

our suggestion based on Sahil Verma

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari