udaasi bech kar main phool laaya tha
bahut din baad khul kar muskuraya tha
udaasi aur gham ne jo sikhaaya tha
wahi maine khushi par aazmaaya tha
utar kar aasmaan se ajnabi koii
meri khaatir zameen par ishq laaya tha
hazaaron ladkiyaan theen dil lagaane ko
mera dil bewafa ladki pe aaya tha
उदासी बेच कर मैं फूल लाया था
बहुत दिन बाद खुल कर मुस्कुराया था
उदासी और ग़म ने जो सिखाया था
वही मैंने ख़ुशी पर आज़माया था
उतर कर आसमाँ से अजनबी कोई
मेरी ख़ातिर ज़मीं पर इश्क़ लाया था
हज़ारों लड़कियाँ थीं दिल लगाने को
मेरा दिल बेवफ़ा लड़की पे आया था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Environment Shayari Shayari