uska mere ghar jo aana ho gaya
phir ye mausam bhi suhaana ho gaya
khush hua tha main kai din baad aur
uska phir ghar apne jaana ho gaya
chaand jaisa uska chehra dekh kar
pehle paagal phir deewana ho gaya
jiski yaadein chhed jaati hain mujhe
usko bichhde ik zamaana ho gaya
dost koi to naya gham do mujhe
pehle waala to puraana ho gaya
उसका मेरे घर जो आना हो गया
फिर ये मौसम भी सुहाना हो गया
ख़ुश हुआ था मैं कई दिन बाद और
उसका फिर घर अपने जाना हो गया
चाँद जैसा उसका चेहरा देख कर
पहले पागल फिर दिवाना हो गया
जिसकी यादें छेड़ जाती हैं मुझे
उसको बिछड़े इक जमाना हो गया
दोस्त कोई तो नया ग़म दो मुझे
पहले वाला तो पुराना हो गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by ABhishek Parashar
our suggestion based on ABhishek Parashar
As you were reading Mausam Shayari Shayari