hai sitam ye ki saraabo mein mile ham dono
aur usmein bhi hijaabo mein mile ham dono
zindagi ki jo padhaai hai usi ke chalte
ek dooje ko nisaabon mein mile ham dono
haan haqeeqat mein mayassar na hue lekin phir
ban ke kirdaar kitaabon mein mile ham dono
aankh khola to laga jaan bhi nahin baaki ab
is qadar toot ke khwaabon mein mile ham dono
dil lagaane ki bhi furqat nahin milti hai ab
aaj ye kaise azaabon mein mile ham dono
है सितम ये कि सराबों में मिले हम दोनों
और उसमें भी हिजाबों में मिले हम दोनों
ज़िन्दगी की जो पढ़ाई है उसी के चलते
एक दूजे को निसाबों में मिले हम दोनों
हाँ हकीक़त में मयस्सर न हुए लेकिन फिर
बन के किर्दार किताबों में मिले हम दोनों
आँख खोला तो लगा जाँ भी नहीं बाकी अब
इस क़दर टूट के ख़्वाबों में मिले हम दोनों
दिल लगाने की भी फ़ुर्सत नहीं मिलती है अब
आज ये कैसे अज़ाबों में मिले हम दोनों
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Haider Khan
our suggestion based on Haider Khan
As you were reading Zulm Shayari Shayari