kisi ko khone ke dar se vo dar gaya aakhir | किसी को खोने के डर से वो डर गया आख़िर

  - Haider Khan

kisi ko khone ke dar se vo dar gaya aakhir
chalo kahi to wafa vo bhi kar gaya aakhir

har ek aib mein khoobi dikhaai dene lagi
koi hamaare bhi dil mein utar gaya aakhir

bichhadte waqt hue phir se ajnabi dono
so raayegaan hi ye saara safar gaya aakhir

khushi hui ki parindon ko mil gaya daana
koi to rizq liye apne ghar gaya aakhir

tere khutoot se awaaz teri aati thi
vo daur-e-ishq na jaane kidhar gaya aakhir

main cigarette to jalata hoon pee nahin paata
tumhaare hijr ka jo tha asar gaya aakhir

nazar churaane lage tum bhi guft-o-goo ke beech
tumhaara dil bhi mere gham se bhar gaya aakhir

vo haadsa hai jawaani ki kya kahein haider
jo ek baccha tha mujh mein vo mar gaya aakhir

किसी को खोने के डर से वो डर गया आख़िर
चलो कहीं तो वफ़ा वो भी कर गया आख़िर

हर एक ऐब में ख़ूबी दिखाई देने लगी
कोई हमारे भी दिल में उतर गया आख़िर

बिछड़ते वक़्त हुए फिर से अजनबी दोनों
सो राएगाँ ही ये सारा सफ़र गया आख़िर

ख़ुशी हुई कि परिंदों को मिल गया दाना
कोई तो रिज़्क़ लिए अपने घर गया आख़िर

तेरे ख़ुतूत से आवाज़ तेरी आती थी
वो दौर-ए-इश्क़ न जाने किधर गया आख़िर

मैं सिगरेटें तो जलाता हूँ पी नहीं पाता
तुम्हारे हिज्र का जो था असर गया आख़िर

नज़र चुराने लगे तुम भी गुफ़्त-ओ-गू के बीच
तुम्हारा दिल भी मेरे ग़म से भर गया आख़िर

वो हादसा है जवानी कि क्या कहें "हैदर"
जो एक बच्चा था मुझ में वो मर गया आख़िर

  - Haider Khan

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Haider Khan

As you were reading Shayari by Haider Khan

Similar Writers

our suggestion based on Haider Khan

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari