haraa bhara hai gham tera ye ishq ki misaal hai
kamaal hai kamaal hai kamaal hai kamaal hai
jagah jagah khumaariyaan hain ishq ki nishaaniyaan
tumhaare zulf ki ghatta mein phailta jamaal hai
guzar gaye guzar gaye kai baras khayal mein
khabar nahin ye ho saki laga ye kaun saal hai
vo gham bhula diya gaya jo kaam ka na tha mere
tera hi gham bacha hai kyun yahin bada sawaal hai
jhuka raha ye dil mera teri hi justajoo liye
uljh gai hai zindagi ye kis janam ka jaal hai
jo ishq mein fana hue mitti hazaar khwaahishein
faqat hi naam ho gaya tumhaara ye kamaal hai
kahaan umesh tha koi kahaan thi uski shaayri
jo tum mili to ho gai ghazal ye bemisaal hai
हरा भरा है ग़म तेरा ये इश्क़ की मिसाल है
कमाल है कमाल है, कमाल है कमाल है
जगह जगह ख़ुमारियाँ हैं इश्क़ की निशानियाँ
तुम्हारे जुल्फ़ की घटा में फैलता जमाल है
गुज़र गये गुज़र गये कई बरस ख़याल में
ख़बर नहीं ये हो सकी लगा ये कौन साल है
वो ग़म भुला दिया गया जो काम का न था मेरे
तेरा ही ग़म बचा है क्यों यहीं बड़ा सवाल है
झुका रहा ये दिल मेरा तेरी ही जुस्तजू लिये
उलझ गई है ज़िन्दगी ये किस जनम का जाल है
जो इश्क़ में फ़ना हुए मिटी हज़ार ख़्वाहिशें
फ़क़त ही नाम हो गया तुम्हारा ये कमाल है
कहाँ 'उमेश' था कोई कहाँ थी उसकी शाइरी
जो तुम मिली तो हो गई ग़ज़ल ये बेमिसाल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Umesh Maurya
our suggestion based on Umesh Maurya
As you were reading Taareef Shayari Shayari