maqtal-e-jaan se ki zindaan se ki ghar se nikle
ham to khushboo ki tarah nikle jidhar se nikle
gar qayamat ye nahin hai to qayamat kya hai
shehar jalta raha aur log na ghar se nikle
jaane vo kaun si manzil thi mohabbat ki jahaan
mere aansu bhi tire deeda-e-tar se nikle
dar-b-dari ka hamein taana na de ai chashm-e-ghazal
dekh vo khwaab ki jis ke liye ghar se nikle
mera rehzan hua kya kya na pashemaan ki jab
is ke naame mere asbaab-e-safar se nikle
bar-sar-e-dosh rahe ya sar-e-nezaa ya-rab
haq-parasti ka na sauda kabhi sar se nikle
मक़्तल-ए-जाँ से कि ज़िंदाँ से कि घर से निकले
हम तो ख़ुशबू की तरह निकले जिधर से निकले
गर क़यामत ये नहीं है तो क़यामत क्या है
शहर जलता रहा और लोग न घर से निकले
जाने वो कौन सी मंज़िल थी मोहब्बत की जहाँ
मेरे आँसू भी तिरे दीदा-ए-तर से निकले
दर-ब-दरी का हमें तअना न दे ऐ चश्म-ए-ग़ज़ाल
देख वो ख़्वाब कि जिस के लिए घर से निकले
मेरा रहज़न हुआ क्या क्या न पशेमान कि जब
इस के नामे मेरे असबाब-ए-सफ़र से निकले
बर-सर-ए-दोश रहे या सर-ए-नेज़ा या-रब
हक़-परस्ती का न सौदा कभी सर से निकले
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Shehar Shayari Shayari