nazar na aaye to kya vo mere qayaas mein hai
vo ek jhooth jo sacchaai ke libaas mein hai
amal se mere khayaalon ka munh chidhaataa hai
vo ek shakhs ki pinhaan mere libaas mein hai
abhi zaraahat-e-sar hi ilaaj thehra hai
ki nabz-e-sang kisi dast-e-be-qayaas mein hai
shajar se saaya juda hai to dhoop suraj se
safar hayaat ka kis dast-e-be-qayaas mein hai
zara jo talkh ho lahja to koi baat bane
ghareeb-e-shehr magar qaid-e-iltimaas mein hai
tujhe khabar bhi hai khud teri kam-nigaahi ka
ik e'tiraaf tire harf-e-naa-sipaas mein hai
नज़र न आए तो क्या वो मिरे क़यास में है
वो एक झूट जो सच्चाई के लिबास में है
अमल से मेरे ख़यालों का मुँह चिढ़ाता है
वो एक शख़्स कि पिन्हाँ मिरे लिबास में है
अभी जराहत-ए-सर ही इलाज ठहरा है
कि नब्ज़-ए-संग किसी दस्त-ए-बे-क़यास में है
शजर से साया जुदा है तो धूप सूरज से
सफ़र हयात का किस दश्त-ए-बे-क़यास में है
ज़रा जो तल्ख़ हो लहजा तो कोई बात बने
ग़रीब-ए-शहर मगर क़ैद-ए-इल्तिमास में है
तुझे ख़बर भी है ख़ुद तेरी कम-निगाही का
इक ए'तिराफ़ तिरे हर्फ़-ए-ना-सिपास में है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Life Shayari Shayari