ik aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai | इक ऐसा मरहला-ए-रह-गुज़र भी आता है

  - Ummeed Fazli

ik aisa marhala-e-rah-guzar bhi aata hai
koi faseel-e-ana se utar bhi aata hai

tiri talash mein jaane kahaan bhatk jaaun
safar mein dasht bhi aata hai ghar bhi aata hai

talash saaye ki laai jo dasht se to khula
azaab-e-soorat-e-deewaar-o-dar bhi aata hai

sakoon to jab ho ki main chaanv sehan mein dekhoon
nazar to vaise gali ka shajar bhi aata hai

badan ki khaak samete hue ho kya logo
safar mein lamha-e-tark-e-safar bhi aata hai

dilon ko zakham na do harf-e-na-mulaayem se
ye teer vo hai ki jo laut kar bhi aata hai

main shehar mein kise ilzaam-e-na-shanaasi doon
ye harf khud mere kirdaar par bhi aata hai

nazar ye kis se mili na-gahaan ki yaad aaya
isee gali mein kahi mera ghar bhi aata hai

hawa ke rukh pe nazar taairaam-e-khush-parvaaz
qafas ka saaya pas-e-baal-o-par bhi aata hai

main harf harf mein utara hoon raushni ki tarah
so kaayenaat ka chehra nazar bhi aata hai

lahu se harf taraashein jo meri tarah ummeed
unhin ke hisse mein zakhm-e-hunar bhi aata hai

इक ऐसा मरहला-ए-रह-गुज़र भी आता है
कोई फ़सील-ए-अना से उतर भी आता है

तिरी तलाश में जाने कहाँ भटक जाऊँ
सफ़र में दश्त भी आता है घर भी आता है

तलाश साए की लाई जो दश्त से तो खुला
अज़ाब-ए-सूरत-ए-दीवार-ओ-दर भी आता है

सकूँ तो जब हो कि मैं छाँव सेहन में देखूँ
नज़र तो वैसे गली का शजर भी आता है

बदन की ख़ाक समेटे हुए हो क्या लोगो
सफ़र में लम्हा-ए-तर्क-ए-सफ़र भी आता है

दिलों को ज़ख़्म न दो हर्फ़-ए-ना-मुलाएम से
ये तीर वो है कि जो लौट कर भी आता है

मैं शहर में किसे इल्ज़ाम-ए-ना-शनासी दूँ
ये हर्फ़ ख़ुद मिरे किरदार पर भी आता है

नज़र ये किस से मिली ना-गहाँ कि याद आया
इसी गली में कहीं मेरा घर भी आता है

हवा के रुख़ पे नज़र ताइरान-ए-ख़ुश-परवाज़
क़फ़स का साया पस-ए-बाल-ओ-पर भी आता है

मैं हर्फ़ हर्फ़ में उतरा हूँ रौशनी की तरह
सो काएनात का चेहरा नज़र भी आता है

लहू से हर्फ़ तराशें जो मेरी तरह उम्मीद
उन्हीं के हिस्से में ज़ख़्म-ए-हुनर भी आता है

  - Ummeed Fazli

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari