ai dil-e-khud-na-shanaas aisa bhi kya | ऐ दिल-ए-ख़ुद-ना-शनास ऐसा भी क्या

  - Ummeed Fazli

ai dil-e-khud-na-shanaas aisa bhi kya
aaina aur is qadar andha bhi kya

us ko dekha bhi magar dekha bhi kya
arsaa-e-khwaahish mein ik lamha bhi kya

dard ka rishta bhi hai tujh se bahut
aur phir ye dard ka rishta bhi kiya

zindagi khud laakh zahron ka thi zahar
zahar-e-gham tujh se mera hota bhi kya

poochta hai raah-rau se ye saraab
tishnagi ka naam hai dariya bhi kya

kheenchti hai aql jab koi hisaar
dhoop kahti hai ki ye saaya bhi kya

uf ye lau deti hui tanhaaiyaan
shehar mein aabaad hai sehra bhi kya

khud use darkaar thi meri nazar
khud-numa jalwa mujhe deta bhi kya

raqs karna har naye jhonke ke saath
barg-e-aawara hai ye duniya bhi kya

khanda-zan gham par khushi par ashk-baar
in dinon yaaro hai rang apna bhi kya

be-tab-o-taab-e-shuaa-e-aagahi
ishq kahiye jis ko vo shola bhi kya

gahe gahe pyaar ki bhi ik nazar
ham se roothe hi raho aisa bhi kya

ai meri takhleeq-e-fan tere baghair
main ki sab kuchh tha magar main tha bhi kya

naghma-e-jaan ko giraa'n-gosho'n ke paas
na-rasaai ke siva milta bhi kya

ऐ दिल-ए-ख़ुद-ना-शनास ऐसा भी क्या
आईना और इस क़दर अंधा भी क्या

उस को देखा भी मगर देखा भी क्या
अर्सा-ए-ख़्वाहिश में इक लम्हा भी क्या

दर्द का रिश्ता भी है तुझ से बहुत
और फिर ये दर्द का रिश्ता भी किया

ज़िंदगी ख़ुद लाख ज़हरों का थी ज़हर
ज़हर-ए-ग़म तुझ से मिरा होता भी क्या

पूछता है राह-रौ से ये सराब
तिश्नगी का नाम है दरिया भी क्या

खींचती है अक़्ल जब कोई हिसार
धूप कहती है कि ये साया भी क्या

उफ़ ये लौ देती हुई तन्हाइयाँ
शहर में आबाद है सहरा भी क्या

ख़ुद उसे दरकार थी मेरी नज़र
ख़ुद-नुमा जल्वा मुझे देता भी क्या

रक़्स करना हर नए झोंके के साथ
बर्ग-ए-आवारा है ये दुनिया भी क्या

ख़ंदा-ज़न ग़म पर ख़ुशी पर अश्क-बार
इन दिनों यारो है रंग अपना भी क्या

बे-तब-ओ-ताब-ए-शुआ-ए-आगही
इश्क़ कहिए जिस को वो शोला भी क्या

गाहे गाहे प्यार की भी इक नज़र
हम से रूठे ही रहो ऐसा भी क्या

ऐ मिरी तख़्लीक़-ए-फ़न तेरे बग़ैर
मैं कि सब कुछ था मगर मैं था भी क्या

नग़्मा-ए-जाँ को गिराँ-गोशों के पास
ना-रसाई के सिवा मिलता भी क्या

  - Ummeed Fazli

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari