zehn-o-dil mein kuchh na kuchh rishta bhi tha
ai mohabbat main kabhi yakja bhi tha
mujh mein ik mausam kabhi aisa na tha
aisa mausam jis mein tu mahka bhi tha
tujh se milne kis tarah ham aaye hain
raaste mein khoon ka dariya bhi tha
kaj-kulaahon par kahaan mumkin sitam
haan magar us ne mujhe chaaha bhi tha
aaj khud saaya-talab hai waqt se
ye wahi ghar hai ki jo saaya bhi tha
jaane kis sehrah-e-gham mein kho gaya
haaye vo aansu ki jo dariya bhi tha
ज़ेहन-ओ-दिल में कुछ न कुछ रिश्ता भी था
ऐ मोहब्बत मैं कभी यकजा भी था
मुझ में इक मौसम कभी ऐसा न था
ऐसा मौसम जिस में तू महका भी था
तुझ से मिलने किस तरह हम आए हैं
रास्ते में ख़ून का दरिया भी था
कज-कुलाहों पर कहाँ मुमकिन सितम
हाँ मगर उस ने मुझे चाहा भी था
आज ख़ुद साया-तलब है वक़्त से
ये वही घर है कि जो साया भी था
जाने किस सहरा-ए-ग़म में खो गया
हाए वो आँसू कि जो दरिया भी था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Jafa Shayari Shayari