kab tak is pyaas ke sehra mein jhulaste jaayen | कब तक इस प्यास के सहरा में झुलसते जाएँ

  - Ummeed Fazli

kab tak is pyaas ke sehra mein jhulaste jaayen
ab ye baadal jo uthe hain to barsate jaayen

kaun batlaaye tumhein kaise vo mausam hain ki jo
mujh se hi door rahein mujh mein hi baste jaayen

ham se azaad-mizaajon pe ye uftaad hai kya
chahte jaayen use khud ko tarsate jaayen

haaye kya log ye aabaad hue hain mujh mein
pyaar ke lafz likhen lehje se daste jaayen

aaina dekhoon to ik chehre ke be-rang nuqoosh
ek na-deeda si zanjeer mein kaste jaayen

juz mohabbat kise aaya hai mayassar ummeed
aisa lamha ki jidhar sadiyon ke raaste jaayen

कब तक इस प्यास के सहरा में झुलसते जाएँ
अब ये बादल जो उठे हैं तो बरसते जाएँ

कौन बतलाए तुम्हें कैसे वो मौसम हैं कि जो
मुझ से ही दूर रहें मुझ में ही बस्ते जाएँ

हम से आज़ाद-मिज़ाजों पे ये उफ़्ताद है क्या
चाहते जाएँ उसे ख़ुद को तरसते जाएँ

हाए क्या लोग ये आबाद हुए हैं मुझ में
प्यार के लफ़्ज़ लिखें लहजे से डसते जाएँ

आइना देखूँ तो इक चेहरे के बे-रंग नुक़ूश
एक नादीदा सी ज़ंजीर में कसते जाएँ

जुज़ मोहब्बत किसे आया है मयस्सर 'उम्मीद'
ऐसा लम्हा कि जिधर सदियों के रस्ते जाएँ

  - Ummeed Fazli

Aaina Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Aaina Shayari Shayari