aql ne ham ko yun bhatkaaya rah na sake deewane bhi
aabaadi ko dhoondhne nikle kho baithe veeraane bhi
chashm-e-saaqi bhi nam hai lau dete hain paimaane bhi
tishna-labi ke sail-e-tapaan se bach na sake maykhaane bhi
sang-e-jafa ko khush-khabri do muzda do zanjeeron ko
shehar-e-khirad mein aa pahunchen hain ham jaise deewane bhi
ham ne jab jis dost ko bhi aaina dikhaaya maazi ka
hairaan ho kar aks ne poocha aap mujhe pahchaane bhi
jism ki tishna-saamaani se jism hi na-aasooda nahin
toot gaye is zad par aa kar rooh ke taane-baane bhi
andeshe aur bazm-e-jaanan daar ka zikr aur itna sukoot
deewaanon ke bhes mein shaayad aa pahunchen farzaane bhi
अक़्ल ने हम को यूँ भटकाया रह न सके दीवाने भी
आबादी को ढूँडने निकले खो बैठे वीराने भी
चश्म-ए-साक़ी भी नम है लौ देते हैं पैमाने भी
तिश्ना-लबी के सैल-ए-तपाँ से बच न सके मयख़ाने भी
संग-ए-जफ़ा को ख़ुश-ख़बरी दो मुज़्दा दो ज़ंजीरों को
शहर-ए-ख़िरद में आ पहुँचे हैं हम जैसे दीवाने भी
हम ने जब जिस दोस्त को भी आईना दिखाया माज़ी का
हैराँ हो कर अक्स ने पूछा आप मुझे पहचाने भी
जिस्म की तिश्ना-सामानी से जिस्म ही ना-आसूदा नहीं
टूट गए इस ज़द पर आ कर रूह के ताने-बाने भी
अंदेशे और बज़्म-ए-जानाँ दार का ज़िक्र और इतना सुकूत
दीवानों के भेस में शायद आ पहुँचे फ़रज़ाने भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Friendship Shayari Shayari