vo khwaab hi sahi peshe-e-nazar to ab bhi hai | वो ख़्वाब ही सही पेश-ए-नज़र तो अब भी है

  - Ummeed Fazli

vo khwaab hi sahi peshe-e-nazar to ab bhi hai
bichhadne waala shareek-e-safar to ab bhi hai

zabaan burida sahi main khizan-gazeeda sahi
hara-bhara mera zakhm-e-hunar to ab bhi hai

suna tha ham ne ki mausam badal gaye hain magar
zameen se faaslaa-e-abr-e-tar. to ab bhi hai

hamaari dar-badri par na jaaie ki hamein
shuur-e-saaya-e-deewaar-o-dar to ab bhi hai

havas ke daur mein mamnoon-e-yaad-e-yaar hain ham
ki yaad-e-yaar dilon ki sipar to ab bhi hai

kahaaniyaan hain agar mo'tabar to phir ik shakhs
kahaaniyon ki tarah mo'tabar to ab bhi hai

hazaar kheench le suraj hisaar-e-abr magar
kiran kiran pe girift-e-nazar to ab bhi hai

samundron se zameenon ko khauf kya ki umeed
numoo-pazeer zameen-e-hunar to ab bhi hai

magar ye kaun badalti hui rutoon se kahe
shajar mein saaya nahin hai shajar to ab bhi hai

वो ख़्वाब ही सही पेश-ए-नज़र तो अब भी है
बिछड़ने वाला शरीक-ए-सफ़र तो अब भी है

ज़बाँ बुरीदा सही मैं ख़िज़ाँ-गज़ीदा सही
हरा-भरा मिरा ज़ख़्म-ए-हुनर तो अब भी है

सुना था हम ने कि मौसम बदल गए हैं मगर
ज़मीं से फ़ासला-ए-अब्र-ए-तर तो अब भी है

हमारी दर-बदरी पर न जाइए कि हमें
शुऊर-ए-साया-ए-दीवार-ओ-दर तो अब भी है

हवस के दौर में मम्नून-ए-याद-ए-यार हैं हम
कि याद-ए-यार दिलों की सिपर तो अब भी है

कहानियाँ हैं अगर मो'तबर तो फिर इक शख़्स
कहानियों की तरह मो'तबर तो अब भी है

हज़ार खींच ले सूरज हिसार-ए-अब्र मगर
किरन किरन पे गिरफ़्त-ए-नज़र तो अब भी है

समुंदरों से ज़मीनों को ख़ौफ़ क्या कि उमीद
नुमू-पज़ीर ज़मीन-ए-हुनर तो अब भी है

मगर ये कौन बदलती हुई रुतों से कहे
शजर में साया नहीं है शजर तो अब भी है

  - Ummeed Fazli

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari