haaye ik shakhs jise ham ne bhulaaya bhi nahin
yaad aane ki tarah yaad vo aaya bhi nahin
jaane kis mod pe le aayi hamein teri talab
sar pe suraj bhi nahin raah mein saaya bhi nahin
wajh-e-ruswaai-e-ehsaas hua hai kya kya
haaye vo lafz jo lab tak mere aaya bhi nahin
ai mohabbat ye sitam kya ki juda hoon khud se
koi aisa mere nazdeek to aaya bhi nahin
ya hamein zulf ke saaye hi mein neend aati thi
ya mayassar kisi deewaar ka saaya bhi nahin
baar-ha dil tiri qurbat se dhadak utha hai
go abhi waqt mohabbat mein vo aaya bhi nahin
aap us shakhs ko kya kahiye ki jis ne ummeed
gham diya gham ko dil-aazaar banaya bhi nahin
हाए इक शख़्स जिसे हम ने भुलाया भी नहीं
याद आने की तरह याद वो आया भी नहीं
जाने किस मोड़ पे ले आई हमें तेरी तलब
सर पे सूरज भी नहीं राह में साया भी नहीं
वज्ह-ए-रुस्वाई-ए-एहसास हुआ है क्या क्या
हाए वो लफ़्ज़ जो लब तक मिरे आया भी नहीं
ऐ मोहब्बत ये सितम क्या कि जुदा हूँ ख़ुद से
कोई ऐसा मिरे नज़दीक तो आया भी नहीं
या हमें ज़ुल्फ़ के साए ही में नींद आती थी
या मयस्सर किसी दीवार का साया भी नहीं
बार-हा दिल तिरी क़ुर्बत से धड़क उट्ठा है
गो अभी वक़्त मोहब्बत में वो आया भी नहीं
आप उस शख़्स को क्या कहिए कि जिस ने 'उम्मीद'
ग़म दिया ग़म को दिल-आज़ार बनाया भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading I love you Shayari Shayari