tum ho jo kuch kahaan chupaoge | तुम हो जो कुछ कहाँ छुपाओगे - Ummeed Fazli

tum ho jo kuch kahaan chupaoge
likhne waalo nazar to aaoge

jab kisi ko qareeb paoge
zaa'ika apna bhool jaaoge

aaina hairaton ka khwaab nahin
khud se aage bhi khud ko paoge

ye hararat lahu mein kai din ki
khud-b-khud us ko bhool jaaoge

aandhiyaan roz mujh se poochhti hain
ghar mein kis din diya jalaaoge

saaya roke hue hai raah safar
tum ye deewaar kab giraoge

ab jo aaye bhi tum to kya hoga
khud dikhoge mujhe dikhaaoge

yahi hoga ki tum dar-e-jaan par
dastaken de ke laut jaaoge

vo jo ik shakhs mujh mein zinda tha
us ko zinda kahaan se laaoge

aise mausam guzar gaye hain ki ab
mujh ko bhi mujh sa tum na paoge

jo lahu mein diye jalaati theen
aisi shaamen kahaan se laaoge

khwahishon ke hisaar mein ghir kar
raasta ghar ka bhool jaaoge

तुम हो जो कुछ कहाँ छुपाओगे
लिखने वालो नज़र तो आओगे

जब किसी को क़रीब पाओगे
ज़ाइक़ा अपना भूल जाओगे

आइना हैरतों का ख़्वाब नहीं
ख़ुद से आगे भी ख़ुद को पाओगे

ये हरारत लहू में कै दिन की
ख़ुद-ब-ख़ुद उस को भूल जाओगे

आँधियाँ रोज़ मुझ से पूछती हैं
घर में किस दिन दिया जलाओगे

साया रोके हुए है राह सफ़र
तुम ये दीवार कब गिराओगे

अब जो आए भी तुम तो क्या होगा
ख़ुद दिखोगे मुझे दिखाओगे

यही होगा कि तुम दर-ए-जाँ पर
दस्तकें दे के लौट जाओगे

वो जो इक शख़्स मुझ में ज़िंदा था
उस को ज़िंदा कहाँ से लाओगे

ऐसे मौसम गुज़र गए हैं कि अब
मुझ को भी मुझ सा तुम न पाओगे

जो लहू में दिए जलाती थीं
ऐसी शामें कहाँ से लाओगे

ख़्वाहिशों के हिसार में घिर कर
रास्ता घर का भूल जाओगे

- Ummeed Fazli
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari