kisi se aur to kya guftugoo karein dil ki
ki raat sun na sake ham bhi dhadkanein dil ki
magar ye baat khird ki samajh mein aa na saki
visaal-o-hijr se aage hain manzilen dil ki
jilau mein khwaab-numa rat-jage sajaaye hue
kahaan kahaan liye phirti hain vahshatein dil ki
nigaah milte hi rang-e-haya ki soorat hain
chhalk uthiin tire rukh se lataafaten dil ki
nigaah-e-kam bhi use sang se ziyaada hai
ki aaine se siva hain nazaakatein dil ki
dayaar-e-harf-o-navaa mein koi to aisa ho
kabhi kisi se to ham baat kar saken dil ki
sar-e-jareeda-e-hasti hamaare baad umeed
lahu se kaun likhega ibaaratien dil ki
किसी से और तो क्या गुफ़्तुगू करें दिल की
कि रात सुन न सके हम भी धड़कनें दिल की
मगर ये बात ख़िरद की समझ में आ न सकी
विसाल-ओ-हिज्र से आगे हैं मंज़िलें दिल की
जिलौ में ख़्वाब-नुमा रत-जगे सजाए हुए
कहाँ कहाँ लिए फिरती हैं वहशतें दिल की
निगाह मिलते ही रंग-ए-हया की सूरत हैं
छलक उठीं तिरे रुख़ से लताफ़तें दिल की
निगाह-ए-कम भी उसे संग से ज़ियादा है
कि आइने से सिवा हैं नज़ाकतें दिल की
दयार-ए-हर्फ़-ओ-नवा में कोई तो ऐसा हो
कभी किसी से तो हम बात कर सकें दिल की
सर-ए-जरीदा-ए-हस्ती हमारे बाद 'उमीद'
लहू से कौन लिखेगा इबारतें दिल की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Chehra Shayari Shayari