ham tira ahad-e-mohabbat thehre | हम तिरा अहद-ए-मोहब्बत ठहरे

  - Ummeed Fazli

ham tira ahad-e-mohabbat thehre
loh-e-nisyan ki jasaarat thehre

dil lahu kar ke ye qismat thehre
sang fankaar ki ujrat thehre

maqtal-e-jaan ki zaroorat thehre
ham ki shaayan-e-mohabbat thehre

kya qayamat hai vo qaateel mujh mein
mere ehsaas ki soorat thehre

waqt ke dajlaa-e-toofani mein
aap ham mauja-e-ujlat thehre

dosti ye hai ki khushboo ke liye
rang zindaani-e-soorat thehre

tu hai khurshid na main hoon shabnam
kya mulaqaat ki soorat thehre

uf ye guzre hue lamhon ka hujoom
dar-o-deewar qayamat thehre

koocha-gardaan-e-junoon misl-e-saba
zulf-e-aawara ki qismat thehre

ishq mein manzil aaraam bhi thi
ham sar-e-koocha-e-vahshat thehre

jab se ummeed gaya hai koi
lamhe sadiyon ki alaamat thehre

हम तिरा अहद-ए-मोहब्बत ठहरे
लौह-ए-निस्याँ की जसारत ठहरे

दिल लहू कर के ये क़िस्मत ठहरे
संग फ़नकार की उजरत ठहरे

मक़्तल-ए-जाँ की ज़रूरत ठहरे
हम कि शायान-ए-मोहब्बत ठहरे

क्या क़यामत है वो क़ातिल मुझ में
मेरे एहसास की सूरत ठहरे

वक़्त के दजला-ए-तूफ़ानी में
आप हम मौजा-ए-उज्लत ठहरे

दोस्ती ये है कि ख़ुश्बू के लिए
रंग ज़िंदानी-ए-सूरत ठहरे

तू है ख़ुर्शीद न मैं हूँ शबनम
क्या मुलाक़ात की सूरत ठहरे

उफ़ ये गुज़रे हुए लम्हों का हुजूम
दर-ओ-दीवार क़यामत ठहरे

कूचा-गर्दान-ए-जुनूँ मिस्ल-ए-सबा
ज़ुल्फ़-ए-आवारा की क़िस्मत ठहरे

इश्क़ में मंज़िल आराम भी थी
हम सर-ए-कूचा-ए-वहशत ठहरे

जब से 'उम्मीद' गया है कोई!!
लम्हे सदियों की अलामत ठहरे

  - Ummeed Fazli

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari