naaz kar naaz ki ye naaz juda hai sab se | नाज़ कर नाज़ कि ये नाज़ जुदा है सब से

  - Ummeed Fazli

naaz kar naaz ki ye naaz juda hai sab se
mera lahja meri awaaz juda hai sab se

juz mohabbat kise maaloom ki vo chashm-e-haya
baat to karti hai andaaz juda hai sab se

jis ko bhi maar diya zinda-e-jaaved kiya
harf-e-haq tera ye ej'aaz juda hai sab se

dekhna kaun hai kya us ko nahin jaan-e-azeez
sar-e-darbaar ik awaaz juda hai sab se

toot jaata hai to sur aur bhi lau dete hain
dil jise kahte hain vo saaz juda hai sab se

soch kar daam bichaana zara ai mauj-e-hawa
mere inkaar ki parvaaz juda hai sab se

nashsha-e-dahr-o-qayaamat ka to kya zikr umeed
vo mera sarv-e-sar-afraaz juda hai sab se

नाज़ कर नाज़ कि ये नाज़ जुदा है सब से
मेरा लहजा मिरी आवाज़ जुदा है सब से

जुज़ मोहब्बत किसे मालूम कि वो चश्म-ए-हया
बात तो करती है अंदाज़ जुदा है सब से

जिस को भी मार दिया ज़िंदा-ए-जावेद किया
हर्फ़-ए-हक़ तेरा ये ए'जाज़ जुदा है सब से

देखना कौन है क्या उस को नहीं जान-ए-अज़ीज़
सर-ए-दरबार इक आवाज़ जुदा है सब से

टूट जाता है तो सुर और भी लौ देते हैं
दिल जिसे कहते हैं वो साज़ जुदा है सब से

सोच कर दाम बिछाना ज़रा ऐ मौज-ए-हवा
मेरे इंकार की परवाज़ जुदा है सब से

नश्शा-ए-दहर-ओ-क़यामत का तो क्या ज़िक्र 'उमीद'
वो मिरा सर्व-ए-सर-अफ़राज़ जुदा है सब से

  - Ummeed Fazli

Adaa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ummeed Fazli

As you were reading Shayari by Ummeed Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Ummeed Fazli

Similar Moods

As you were reading Adaa Shayari Shayari