aaina-e-vahshat ko jila jis se mili hai
vo gard rah-e-tark-e-maraasim se uthi hai
sadiyon ke tasalsul mein kahi gardish-e-dauraan
pehle bhi kahi tujh se mulaqaat hui hai
ai karb-o-bala khush ho nayi nasl ne ab ke
khud apne lahu se tiri taarikh likhi hai
us kaj-kulah-e-ishq ko ai mashq-e-sitam dekh
sar tan pe nahin phir bhi wahi sarv-qadi hai
kis raah se tujh tak ho rasai ki har ik samt
duniya kisi deewaar ke maanind khadi hai
zindaan ki faseelen hon ki maqtal ki fazaayein
raftaar-e-junoon bhi kahi roke se ruki hai
jis roop mein jab chahe jise dhaal de ummeed
duniya bhi ajab kaar-gah-e-kooza-gari hai
आईना-ए-वहशत को जिला जिस से मिली है
वो गर्द रह-ए-तर्क-ए-मरासिम से उठी है
सदियों के तसलसुल में कहीं गर्दिश-ए-दौराँ
पहले भी कहीं तुझ से मुलाक़ात हुई है
ऐ कर्ब-ओ-बला ख़ुश हो नई नस्ल ने अब के
ख़ुद अपने लहू से तिरी तारीख़ लिखी है
उस कज-कुलह-ए-इश्क़ को ऐ मश्क़-ए-सितम देख
सर तन पे नहीं फिर भी वही सर्व-क़दी है
किस राह से तुझ तक हो रसाई कि हर इक सम्त
दुनिया किसी दीवार के मानिंद खड़ी है
ज़िंदाँ की फ़सीलें हों कि मक़्तल की फ़ज़ाएँ
रफ़्तार-ए-जुनूँ भी कहीं रोके से रुकी है
जिस रूप में जब चाहे जिसे ढाल दे 'उम्मीद'
दुनिया भी अजब कार-गह-ए-कूज़ा-गरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Good morning Shayari Shayari