jaane ye kaisa zahar dilon mein utar gaya
parchhaaien zinda rah gai insaan mar gaya
barbaadiyaan to mera muqaddar hi theen magar
chehron se doston ke mulamma utar gaya
ai dopahar ki dhoop bata kya jawaab doon
deewaar poochhti hai ki saaya kidhar gaya
is shehar mein faraash-talab hai har ek raah
vo khush-naseeb tha jo saleeqe se mar gaya
kya kya na us ko zoom-e-masihaai tha umeed
ham ne dikhaaye zakham to chehra utar gaya
जाने ये कैसा ज़हर दिलों में उतर गया
परछाईं ज़िंदा रह गई इंसान मर गया
बर्बादियाँ तो मेरा मुक़द्दर ही थीं मगर
चेहरों से दोस्तों के मुलम्मा उतर गया
ऐ दोपहर की धूप बता क्या जवाब दूँ
दीवार पूछती है कि साया किधर गया
इस शहर में फ़राश-तलब है हर एक राह
वो ख़ुश-नसीब था जो सलीक़े से मर गया
क्या क्या न उस को ज़ोम-ए-मसीहाई था 'उमीद'
हम ने दिखाए ज़ख़्म तो चेहरा उतर गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ummeed Fazli
our suggestion based on Ummeed Fazli
As you were reading Dhoop Shayari Shayari