tu ne apna jalwa dikhaane ko jo naqaab munh se utha diya | तू ने अपना जल्वा दिखाने को जो नक़ाब मुँह से उठा दिया - Unknown

tu ne apna jalwa dikhaane ko jo naqaab munh se utha diya
wahin mahv-e-hairat-e-be-khudi mujhe aaina sa bana diya

vo jo naqsh-e-paa ki tarah rahi thi numood apne vujood ki
so kashish ne daaman-e-naaz ki use bhi zameen se mita diya

rag-o-pai mein aag bhadak uthi funke hai pada ye sabhi badan
mujhe saaqiya may-e-aatisheen ka ye jaam kaisa pila diya

jabhi ja ke maktab-e-ishq mein sabq-e-maqaam-e-fana liya
jo likha padha tha niyaaz ne so vo saaf dil se bhula diya

तू ने अपना जल्वा दिखाने को जो नक़ाब मुँह से उठा दिया
वहीं महव-ए-हैरत-ए-बे-ख़ुदी मुझे आइना सा बना दिया

वो जो नक़्श-ए-पा की तरह रही थी नुमूद अपने वजूद की
सो कशिश ने दामन-ए-नाज़ की उसे भी ज़मीं से मिटा दिया

रग-ओ-पै में आग भड़क उठी फुंके है पड़ा ये सभी बदन
मुझे साक़िया मय-ए-आतिशीं का ये जाम कैसा पिला दिया

जभी जा के मकतब-ए-इश्क़ में सबक़-ए-मक़ाम-ए-फ़ना लिया
जो लिखा पढ़ा था 'नियाज़' ने सो वो साफ़ दिल से भुला दिया

- Unknown
0 Likes

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unknown

As you were reading Shayari by Unknown

Similar Writers

our suggestion based on Unknown

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari