banaya hai ham ne ye lakdi ka ghoda | बनाया है हम ने ये लकड़ी का घोड़ा

  - Unknown

banaya hai ham ne ye lakdi ka ghoda
sada-sad sada-sad lagaate hain koda
ye karta nahin bhool kar bhi kabhi hat
jidhar chaaha fera jidhar chaaha moda
ye khaata nahin thokren raaste mein
bala se agar ho koi eent roda
na ye maarta hai dolatti kisi ke
kisi ka nahin is ne munh haath toda
na is ne kabhi mujh ko ab tak giraaya
na bhaaga na hargiz mera saath chhodaa
nahin ghaas daane ki bhi is ko haajat
hawa kha ke jeeta hai mera ye ghoda
kamar is ki lagti nahin baithne se
nikalta nahin hai koi funsi phoda
main chadhta hoon roz is pe kapde badal kar
naya mera ghoda naya mera joda
chala-chal mere ghode seedha chala chal
bahut chal chuka ab to rasta hai thoda

बनाया है हम ने ये लकड़ी का घोड़ा
सड़ा-सड़ सड़ा-सड़ लगाते हैं कोड़ा
ये करता नहीं भूल कर भी कभी हट
जिधर चाहा फेरा जिधर चाहा मोड़ा
ये खाता नहीं ठोकरें रास्ते में
बला से अगर हो कोई ईंट रोड़ा
न ये मारता है दोलत्ती किसी के
किसी का नहीं इस ने मुँह हाथ तोड़ा
न इस ने कभी मुझ को अब तक गिराया
न भागा न हरगिज़ मिरा साथ छोड़ा
नहीं घास दाने की भी इस को हाजत
हवा खा के जीता है मेरा ये घोड़ा
कमर इस की लगती नहीं बैठने से
निकलता नहीं है कोई फुंसी फोड़ा
मैं चढ़ता हूँ रोज़ इस पे कपड़े बदल कर
नया मेरा घोड़ा नया मेरा जोड़ा
चला-चल मिरे घोड़े सीधा चला चल
बहुत चल चुका अब तो रस्ता है थोड़ा

  - Unknown

Pollution Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Unknown

As you were reading Shayari by Unknown

Similar Writers

our suggestion based on Unknown

Similar Moods

As you were reading Pollution Shayari Shayari