kahi na aisa ho apna vaqaar kha jaaye
khizaan se phool bachaayein bahaar kha jaaye
hamaare jaisa kahaan dil kisi ka hoga bhala
jo dard pale rakhe aur qaraar kha jaaye
palat ke sang tiri aur fenk saka hoon
ki main vo qais nahin haan jo maar kha jaaye
usi ka daakhila is dasht mein karo ab se
jo sabr pee sake apna ghubaar kha jaaye
bahut qaraar hai thodi si be-qaraari de
kahi na aisa ho mujh ko qaraar kha jaaye
ajab safeena hai ye waqt ka safeena bhi
jo apni god mein baitha sawaar kha jaaye
कहीं न ऐसा हो अपना वक़ार खा जाए
ख़िज़ाँ से फूल बचाएँ बहार खा जाए
हमारे जैसा कहाँ दिल किसी का होगा भला
जो दर्द पाले रखे और क़रार खा जाए
पलट के संग तिरी और फेंक सकता हूँ
कि मैं वो क़ैस नहीं हाँ जो मार खा जाए
उसी का दाख़िला इस दश्त में करो अब से
जो सब्र पी सके अपना ग़ुबार खा जाए
बहुत क़रार है थोड़ी सी बे-क़रारी दे
कहीं न ऐसा हो मुझ को क़रार खा जाए
अजब सफ़ीना है ये वक़्त का सफ़ीना भी
जो अपनी गोद में बैठा सवार खा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Varun Anand
our suggestion based on Varun Anand
As you were reading Breakup Motivation Shayari Shayari