mar gaya hoon main yaar andar se | मर गया हूँ मैं यार अंदर से

  - Vaseem 'Haidar'

mar gaya hoon main yaar andar se
dil laga baitha ek patthar se

usse nafrat bahut hi ziyaada hai
hai mujhe ishq ek number se

uska rishta hua december mein
mujhko nafrat hui december se

khud pe laanat main bhejta hoon ab
main gaya haar ek afsar se

kya muhabbat mein rona jaiz hai
maine poocha hai ik qalander se

ishq ke khwaab tum na dikhlaao
ab main darta hoon aise manzar se

ab to hone lagi hai khud se ghin
ek ummeed kii thi kamtar se

main jo maangu vo de diya kar tu
khaali lautaa hoon main tire dar se

ab to afsar pasand hai usko
be-wafaai to kii hai tailor se

tujhko marna waseem hai kya ab
baat kar li hai ik samundar se

मर गया हूँ मैं यार अंदर से
दिल लगा बैठा एक पत्थर से

उससे नफ़रत बहुत ही ज़्यादा है
है मुझे इश्क़ एक नंबर से

उसका रिश्ता हुआ दिसंबर में
मुझको नफ़रत हुई दिसंबर से

ख़ुद पे लानत मैं भेजता हूँ अब
मैं गया हार एक अफ़सर से

क्या मुहब्बत में रोना जाइज़ है
मैंने पूछा है इक क़लंदर से

इश्क़ के ख़्वाब तुम न दिखलाओ
अब मैं डरता हूँ ऐसे मंज़र से

अब तो होने लगी है ख़ुद से घिन
एक उम्मीद की थी कमतर से

मैं जो माँगू वो दे दिया कर तू
ख़ाली लौटा हूँ मैं तिरे दर से

अब तो अफ़सर पसंद है उसको
बे-वफ़ाई तो की है टेलर से

तुझको मरना वसीम है क्या अब
बात कर ली है इक समुंदर से

  - Vaseem 'Haidar'

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari