vo khwaab tere ab churaunga nahin
tha ishq hamko bhi bataaunga nahin
ab vaada jisse bhi karunga main yahan
us se muhabbat ye nibhaaunga nahin
main jaanta hoon ishq ik beemaari hai
sapne yahan apne sajaaoonga nahin
ik baar duniya se chale jaayen kahi
main laut kar duniya mein aaunga nahin
meri muhabbat ke vo qaabil hai nahin
ab zeest mein usko bulaaunga nahin
vo mujhko kitna bhi manaae ab yahan
haathon ka uske khaana khaaunga nahin
jo bhi mujhe usne kaha tha yaad hai
baatein ye uski main bhulaoonga nahin
वो ख़्वाब तेरे अब चुराऊँगा नहीं
था इश्क़ हमको भी बताऊँगा नहीं
अब वादा जिससे भी करूँगा मैं यहाँ
उस से मुहब्बत ये निभाऊँगा नहीं
मैं जानता हूँ इश्क़ इक बीमारी है
सपने यहाँ अपने सजाऊँगा नहीं
इक बार दुनिया से चले जाएँ कहीं
मैं लौट कर दुनिया में आऊँगा नहीं
मेरी मुहब्बत के वो क़ाबिल है नहीं
अब ज़ीस्त में उसको बुलाऊँगा नहीं
वो मुझको कितना भी मनाए अब यहाँ
हाथों का उसके खाना खाऊँगा नहीं
जो भी मुझे उसने कहा था याद है
बातें ये उसकी मैं भुलाऊँगा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Bimari Shayari Shayari