ab mere baad uska kya hoga
vo mujhe yaar sochta hoga
uske ghar rishta aaya hoga jab
usne ghar sach bata diya hoga
uske ghar waale gar nahin maane
phir se ik yaar mas'ala hoga
jo nazar mein meri nahin kuchh bhi
vo kisi ke liye khuda hoga
ab idhar aag lag gai dil mein
kya udhar bhi dhuaan utha hoga
main to hoon meelon door usse ab
ghaur se kisko dekhta hoga
maano tum ya na maano tum jaano
thoda sa yaad to kiya hoga
अब मेरे बाद उसका क्या होगा
वो मुझे यार सोचता होगा
उसके घर रिश्ता आया होगा जब
उसने घर सच बता दिया होगा
उसके घर वाले गर नहीं माने
फिर से इक यार मसअला होगा
जो नज़र में मेरी नहीं कुछ भी
वो किसी के लिए ख़ुदा होगा
अब इधर आग लग गई दिल में
क्या उधर भी धुआँ उठा होगा
मैं तो हूँ मीलों दूर उससे अब
ग़ौर से किसको देखता होगा
मानो तुम या न मानो तुम जानो
थोड़ा सा याद तो किया होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Khuda Shayari Shayari