gham ke baadal yahan pe chhaaye hain
aaj tak ghar nahin bulaaye hain
kehta main rah gaya chalo tum bhi
gair ke kehne par vo aaye hain
harf ye mere to nahin hain jaan
harf ye jaun ke churaaye hain
mujhko takleef hoti thi yaaro
aaj phir uske khat jalaae hain
jisko shiddat se chahte the ham
usko ab kaun log bhaaye hain
aane ko hain falan ki yaadein ab
is liye khud ko hi rulaaye hain
ab mohabbat na kar le koi yaa
aankh mein ashk phir sajaaye hain
ग़म के बादल यहाँ पे छाए हैं
आज तक घर नहीं बुलाए हैं
कहता मैं रह गया चलो तुम भी
ग़ैर के कहने पर वो आए हैं
हर्फ़ ये मेरे तो नहीं हैं जाँ
हर्फ़ ये जौन के चुराए हैं
मुझको तकलीफ़ होती थी यारो
आज फिर उसके ख़त जलाए हैं
जिसको शिद्दत से चाहते थे हम
उसको अब कौन लोग भाए हैं
आने को हैं फलाँ की यादें अब
इस लिए ख़ुद को ही रुलाए हैं
अब मोहब्बत न कर ले कोई याँ
आँख में अश्क फिर सजाए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Aanch Shayari Shayari