aaj se hi unhen bhulaate hain
vo to jugnoo hain jagmagate hain
vo hamaare naseeb mein hai nain
baat ye ham tumhein bataate hain
mera hujra khula hi rehta hai
vo tasavvur mein aate jaate hain
jisko ham dil-o-jaan se chahein
phir wahi log bhool jaate hain
shakhs vo aane se raha ab to
yaad uski kahi udaate hain
koi shak kar na le zara sa bhi
is liye khud ko ham hansaate hain
jaane kis duniya mein chale vo gaye
vo bahut mujhko yaad aate hain
आज से ही उन्हें भुलाते हैं
वो तो जुगनूँ हैं जगमगाते हैं
वो हमारे नसीब में है नइँ
बात ये हम तुम्हें बताते हैं
मेरा हुजरा खुला ही रहता है
वो तसव्वुर में आते जाते हैं
जिसको हम दिल-ओ-जान से चाहें
फिर वही लोग भूल जाते हैं
शख़्स वो आने से रहा अब तो
याद उसकी कहीं उड़ाते हैं
कोई शक कर न ले ज़रा सा भी
इस लिए ख़ुद को हम हँसाते हैं
जाने किस दुनिया में चले वो गए
वो बहुत मुझको याद आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'
our suggestion based on Vaseem 'Haidar'
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari