hijr raaton ko bhi rulaata hai | हिज्र रातों को भी रुलाता है

  - Vaseem 'Haidar'

hijr raaton ko bhi rulaata hai
ik mujhe chhod kar vo jaata hai

ishq karna humeen se seekha hai
vo mohabbat kahaan lutaata hai

raat bhar ghoomte the ham dono
ab kisi aur ko ghumaata hai

main tumhaara hoon sirf kehta vo
jhoothi saari qasam bhi khaata hai

maine usko bhula diya kab ka
vo sitamgar khushi manaata hai

ishq aise nahin yun hota to
ishq karna mujhe bataata hai

ishq izhaar karke usne phir
ab to mera vo dil dukhaata hai

ishq karke hui hai phir ghalti
ab to vo mujh pe zulm dhaata hai

tum to tauba wasim kar lo ab
aankh se apni kab pilaata hai

हिज्र रातों को भी रुलाता है
इक मुझे छोड़ कर वो जाता है

इश्क़ करना हमीं से सीखा है
वो मोहब्बत कहाँ लुटाता है

रात भर घूमते थे हम दोनों
अब किसी और को घुमाता है

मैं तुम्हारा हूँ सिर्फ़ कहता वो
झूठी सारी क़सम भी खाता है

मैंने उसको भुला दिया कब का
वो सितमगर ख़ुशी मनाता है

इश्क़ ऐसे नहीं यूँ होता तो
इश्क़ करना मुझे बताता है

इश्क़ इज़हार करके उसने फिर
अब तो मेरा वो दिल दुखाता है

इश्क़ करके हुई है फिर ग़लती
अब तो वो मुझ पे ज़ुल्म ढाता है

तुम तो तौबा व'सीम' कर लो अब
आँख से अपनी कब पिलाता है

  - Vaseem 'Haidar'

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vaseem 'Haidar'

As you were reading Shayari by Vaseem 'Haidar'

Similar Writers

our suggestion based on Vaseem 'Haidar'

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari