kisi sukhe hue shajar sa hoon | किसी सूखे हुए शजर सा हूँ - Vijay Sharma

kisi sukhe hue shajar sa hoon
ek lamhe mein umr bhar sa hoon

tum haso aur muskuraau'n main
shams tum ho to main qamar sa hoon

koi mujh mein nazar nahin aata
ek veeraan raahguzaar sa hoon

waqt ik jheel sa hua mujh mein
koi thehra hua sa arsa hoon

tujhmein kitni nami chali aayi
jab se teri zameen pe barsa hoon

tum meri zindagi ke maalik arsh
aur main zindagi ko tarsa hoon

किसी सूखे हुए शजर सा हूँ
एक लम्हे में उम्र भर सा हूँ

तुम हँसो और मुस्कुराऊँ मैं
शम्स तुम हो तो मैं क़मर सा हूँ

कोई मुझ में नज़र नहीं आता
एक वीरान रहगुज़र सा हूँ

वक़्त इक झील सा हुआ मुझ में
कोई ठहरा हुआ सा अर्सा हूँ

तुझमें कितनी नमी चली आई
जब से तेरी ज़मीं पे बरसा हूँ

तुम मिरी ज़िंदगी के मालिक 'अर्श'
और मैं ज़िंदगी को तरसा हूँ

- Vijay Sharma
0 Likes

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vijay Sharma

As you were reading Shayari by Vijay Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vijay Sharma

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari