sochta hoon ki dil-e-zaar ka matlab kya hai | सोचता हूँ कि दिल-ए-ज़ार का मतलब क्या है

  - Vikram Sharma

sochta hoon ki dil-e-zaar ka matlab kya hai
ek hanste hue beemaar ka matlab kya hai

aap kahte hain ki deewaar gira di jaaye
aap ki nazaron mein deewaar ka matlab kya hai

aakhiri faisla tum apne mutaabiq loge
phir meri haami ya inkaar ka matlab kya hai

sang-dil logon se kya apni tabi'at kahte
kisi deewaar se guftaar ka matlab kya hai

uth ke ja sakte hain ham aison ke saaye se aap
ham samjhte hain ki ashjaar ka matlab kya hai

pehle pehle to faqat zabt ke imkaan rahe
rafta rafta khula izhaar ka matlab kya hai

main ki chup zaat tha so she'r kaha karta tha
pooch leti thi vo ashaar ka matlab kya hai

सोचता हूँ कि दिल-ए-ज़ार का मतलब क्या है
एक हँसते हुए बीमार का मतलब क्या है

आप कहते हैं कि दीवार गिरा दी जाए
आप की नज़रों में दीवार का मतलब क्या है

आख़िरी फ़ैसला तुम अपने मुताबिक़ लोगे
फिर मिरी हामी या इंकार का मतलब क्या है

संग-दिल लोगों से क्या अपनी तबीअ'त कहते
किसी दीवार से गुफ़्तार का मतलब क्या है

उठ के जा सकते हैं हम ऐसों के साए से आप
हम समझते हैं कि अश्जार का मतलब क्या है

पहले पहले तो फ़क़त ज़ब्त के इम्कान रहे
रफ़्ता रफ़्ता खुला इज़हार का मतलब क्या है

मैं कि चुप ज़ात था सो शे'र कहा करता था
पूछ लेती थी वो अशआ'र का मतलब क्या है

  - Vikram Sharma

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikram Sharma

As you were reading Shayari by Vikram Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vikram Sharma

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari