ahl-e-duniya naya naya hoon main
ma'zarat khwaab dekhta hoon main
hai parindon se khaamoshi darkaar
ped se baat kar raha hoon main
us ki tasveer hai ghadi ke paas
har ghadi waqt dekhta hoon main
khud se karta hoon mashwara lekin
baat auron ki maanta hoon main
is qadar teergi ka qaail hoon
dhoop ko dhoop kah raha hoon main
waqia hoon azal se pehle ka
kun se pehle uthi sada hoon main
mujh ko chup-zaat samjha jaata hai
is qadar tez cheekhta hoon main
अहल-ए-दुनिया नया नया हूँ मैं
मा'ज़रत ख़्वाब देखता हूँ मैं
है परिंदों से ख़ामुशी दरकार
पेड़ से बात कर रहा हूँ मैं
उस की तस्वीर है घड़ी के पास
हर घड़ी वक़्त देखता हूँ मैं
ख़ुद से करता हूँ मशवरा लेकिन
बात औरों की मानता हूँ मैं
इस क़दर तीरगी का क़ाइल हूँ
धूप को धूप कह रहा हूँ मैं
वाक़िआ' हूँ अज़ल से पहले का
कुन से पहले उठी सदा हूँ मैं
मुझ को चुप-ज़ात समझा जाता है
इस क़दर तेज़ चीख़ता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Vikram Sharma
our suggestion based on Vikram Sharma
As you were reading Ujaala Shayari Shayari