ek khaamoshi ne sada paayi | एक ख़ामोशी ने सदा पायी

  - Vikram Sharma

ek khaamoshi ne sada paayi
dhaai harfon mein phir vo haklaai

chaar deewaar chand chipkaliyaan
hijr ki raat ke tamaashaai

doobne ka use malaal nahin
jisne dekhi nadi ki raanaai

aakhiri train thi tiri jaanib
jo galat platform par aayi

baarishon ne hamein udaas kiya
seel deewaar mein utar aayi

एक ख़ामोशी ने सदा पायी
ढाई हर्फ़ों में फिर वो हकलाई

चार दीवार चन्द छिपकलियाँ
हिज्र की रात के तमाशाई

डूबने का उसे मलाल नहीं
जिसने देखी नदी की रानाई

आख़िरी ट्रैन थी तिरी जानिब
जो ग़लत प्लेटफॉर्म पर आयी

बारिशों ने हमें उदास किया
सील दीवार में उतर आयी

  - Vikram Sharma

Khafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Vikram Sharma

As you were reading Shayari by Vikram Sharma

Similar Writers

our suggestion based on Vikram Sharma

Similar Moods

As you were reading Khafa Shayari Shayari