kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin saka
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin saka
tu chhod raha hai to khata is mein tiri kya
har shakhs mera saath nibha bhi nahin saka
pyaase rahe jaate hain zamaane ke savaalaat
kis ke liye zinda hoon bata bhi nahin saka
ghar dhundh rahe hain mera raaton ke pujaari
main hoon ki charaagon ko bujha bhi nahin saka
vaise to ik aansu hi baha kar mujhe le jaaye
aise koi toofaan hila bhi nahin saka
क्या दुख है समुंदर को बता भी नहीं सकता
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता
तू छोड़ रहा है तो ख़ता इस में तिरी क्या
हर शख़्स मिरा साथ निभा भी नहीं सकता
प्यासे रहे जाते हैं ज़माने के सवालात
किस के लिए ज़िंदा हूँ बता भी नहीं सकता
घर ढूँड रहे हैं मिरा रातों के पुजारी
मैं हूँ कि चराग़ों को बुझा भी नहीं सकता
वैसे तो इक आँसू ही बहा कर मुझे ले जाए
ऐसे कोई तूफ़ान हिला भी नहीं सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Waseem Barelvi
our suggestion based on Waseem Barelvi
As you were reading Nigaah Shayari Shayari