kya bataaun kaisa khud ko dar-b-dar main ne kiya | क्या बताऊँ कैसा ख़ुद को दर-ब-दर मैं ने किया

  - Waseem Barelvi

kya bataaun kaisa khud ko dar-b-dar main ne kiya
umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya

tu to nafrat bhi na kar paayega is shiddat ke saath
jis bala ka pyaar tujh se be-khabar main ne kiya

kaise bacchon ko bataaun raaston ke pech-o-kham
zindagi-bhar to kitaabon ka safar main ne kiya

kis ko furqat thi ki batlaata tujhe itni si baat
khud se kya bartaav tujh se chhoot kar main ne kiya

chand jazbaati se rishton ke bachaane ko waseem
kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya

क्या बताऊँ कैसा ख़ुद को दर-ब-दर मैं ने किया
उम्र-भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैं ने किया

तू तो नफ़रत भी न कर पाएगा इस शिद्दत के साथ
जिस बला का प्यार तुझ से बे-ख़बर मैं ने किया

कैसे बच्चों को बताऊँ रास्तों के पेच-ओ-ख़म
ज़िंदगी-भर तो किताबों का सफ़र मैं ने किया

किस को फ़ुर्सत थी कि बतलाता तुझे इतनी सी बात
ख़ुद से क्या बरताव तुझ से छूट कर मैं ने किया

चंद जज़्बाती से रिश्तों के बचाने को 'वसीम'
कैसा कैसा जब्र अपने आप पर मैं ने किया

  - Waseem Barelvi

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari