mohabbat na-samajh hoti hai samjhaana zaroori hai | मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है

  - Waseem Barelvi

mohabbat na-samajh hoti hai samjhaana zaroori hai
jo dil mein hai use aankhon se kahlaana zaroori hai

usoolon par jahaan aanch aaye takraana zaroori hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaroori hai

nayi umron ki khud-mukhtariyon ko kaun samjhaaye
kahaan se bach ke chalna hai kahaan jaana zaroori hai

thake-haare parinde jab basere ke liye lautain
saleeqa-mand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai

bahut bebaak aankhon mein ta'alluq tik nahin paata
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai

saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka
jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai

mere honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke ba'ad bhi duniya mein kuchh paana zaroori hai

मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है
जो दिल में है उसे आँखों से कहलाना ज़रूरी है

उसूलों पर जहाँ आँच आए टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है

नई उम्रों की ख़ुद-मुख़्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है

थके-हारे परिंदे जब बसेरे के लिए लौटें
सलीक़ा-मंद शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है

बहुत बेबाक आँखों में तअ'ल्लुक़ टिक नहीं पाता
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है

सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है

मिरे होंटों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बा'द भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है

  - Waseem Barelvi

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Waseem Barelvi

As you were reading Shayari by Waseem Barelvi

Similar Writers

our suggestion based on Waseem Barelvi

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari