jab raat ki naagin dasti hai | जब रात की नागिन डसती है

  - Wasi Shah

jab raat ki naagin dasti hai
nas nas mein zahar utarta hai
jab chaand ki kirnen tezi se
us dil ko cheer ke aati hain
jab aankh ke andar hi aansu
sab jazbon par chha jaate ho
tab yaad bahut tum aate ho
jab dard ki jhanjar bajti hai
jab raqs ghamon ka hota hai
khwaabon ki taal pe saare dukh
vehshat ke saaz bajaate hain
gaate hain khwaahish ki lay mein
masti mein jhoomte jaate hain
sab jazbon par chha jaate ho
tab yaad bahut tum aate ho

जब रात की नागिन डसती है
नस नस में ज़हर उतरता है
जब चाँद की किरनें तेज़ी से
उस दिल को चीर के आती हैं
जब आँख के अंदर ही आँसू
सब जज़्बों पर छा जाते हो
तब याद बहुत तुम आते हो
जब दर्द की झानजर बजती है
जब रक़्स ग़मों का होता है
ख़्वाबों की ताल पे सारे दुख
वहशत के साज़ बजाते हैं
गाते हैं ख़्वाहिश की लय में
मस्ती में झूमते जाते हैं
सब जज़्बों पर छा जाते हो
तब याद बहुत तुम आते हो

  - Wasi Shah

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Wasi Shah

As you were reading Shayari by Wasi Shah

Similar Writers

our suggestion based on Wasi Shah

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari