samandar mein utarta hoon to aankhen bheeg jaati hain
tiri aankhon ko padhta hoon to aankhen bheeg jaati hain
tumhaara naam likhne ki ijaazat chin gai jab se
koi bhi lafz likhta hoon to aankhen bheeg jaati hain
tiri yaadon ki khushboo khidkiyon mein raqs karti hai
tire gham mein sulagta hoon to aankhen bheeg jaati hain
na jaane ho gaya hoon is qadar hassaas main kab se
kisi se baat karta hoon to aankhen bheeg jaati hain
main saara din bahut masroof rehta hoon magar jyuun hi
qadam chaukhat pe rakhta hoon to aankhen bheeg jaati hain
har ik muflis ke maathe par alam ki daastaane hain
koi chehra bhi padhta hoon to aankhen bheeg jaati hain
bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko
gareeb aankhon se takta hoon to aankhen bheeg jaati hain
tire kooche se ab mera ta'alluq waajibi sa hai
magar jab bhi guzarta hoon to aankhen bheeg jaati hain
hazaaron mausamon ki hukmraani hai mere dil par
vasi main jab bhi hansta hoon to aankhen bheeg jaati hain
समंदर में उतरता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
तिरी आँखों को पढ़ता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
तुम्हारा नाम लिखने की इजाज़त छिन गई जब से
कोई भी लफ़्ज़ लिखता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
तिरी यादों की ख़ुश्बू खिड़कियों में रक़्स करती है
तिरे ग़म में सुलगता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
न जाने हो गया हूँ इस क़दर हस्सास मैं कब से
किसी से बात करता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
मैं सारा दिन बहुत मसरूफ़ रहता हूँ मगर ज्यूँ ही
क़दम चौखट पे रखता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
हर इक मुफ़्लिस के माथे पर अलम की दास्ताने हैं
कोई चेहरा भी पढ़ता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
बड़े लोगों के ऊँचे बद-नुमा और सर्द महलों को
ग़रीब आँखों से तकता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
तिरे कूचे से अब मेरा तअ'ल्लुक़ वाजिबी सा है
मगर जब भी गुज़रता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
हज़ारों मौसमों की हुक्मरानी है मिरे दिल पर
'वसी' मैं जब भी हँसता हूँ तो आँखें भीग जाती हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Wasi Shah
our suggestion based on Wasi Shah
As you were reading Environment Shayari Shayari