baitha hoon paanv tod ke tadbeer dekhna
manzil qadam se lipti hai taqdeer dekhna
aawaaze mujh pe kaste hain phir bandagaan-e-ishq
pad jaaye phir na paanv mein zanjeer dekhna
murdon se shart baandh ke soi hai apni maut
haan dekhna zara falak-e-peer dekhna
hosh ud na jaayen sanat-e-behzaad dekh kar
aaina rakh ke saamne tasveer dekhna
parwaane kar chuke the sar-anjaam khud-kushi
faanoos aadhe aa gaya taqdeer dekhna
shaayad khuda-na-khaasta aankhen daga karein
achha nahin navishta-e-taqdeer dekhna
baad-e-muraad chal chuki langar uthao yaas
phir aage badh ke khoobi-e-taqdeer dekhna
बैठा हूँ पाँव तोड़ के तदबीर देखना
मंज़िल क़दम से लिपटी है तक़दीर देखना
आवाज़े मुझ पे कसते हैं फिर बंदगान-ए-इश्क़
पड़ जाए फिर न पाँव में ज़ंजीर देखना
मुर्दों से शर्त बाँध के सोई है अपनी मौत
हाँ देखना ज़रा फ़लक-ए-पीर देखना
होश उड़ न जाएँ सनअत-ए-बेहज़ाद देख कर
आईना रख के सामने तस्वीर देखना
परवाने कर चुके थे सर-अंजाम ख़ुद-कुशी
फ़ानूस आड़े आ गया तक़दीर देखना
शायद ख़ुदा-न-ख़ास्ता आँखें दग़ा करें
अच्छा नहीं नविश्ता-ए-तक़दीर देखना
बाद-ए-मुराद चल चुकी लंगर उठाओ 'यास'
फिर आगे बढ़ के ख़ूबी-ए-तक़दीर देखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Qabr Shayari Shayari