zamaane par na sahi dil pe ikhtiyaar rahe
dikha vo zor ki duniya mein yaadgaar rahe
kahaan talak dil-e-ghamnaak parda-daar rahe
zubaan-e-haal pe jab kuchh na ikhtiyaar rahe
nizaam-e-dehr ne kya kya na karvatein badlein
magar ham ek hi pahluu se be-qaraar rahe
hasi mein lagzish-e-mastaana ud gai wallaah
to be-gunaahon se achhe gunaahgaar rahe
ubhaarti hai havas tauba-e-rihaai ki
ki dil ke saath zabaan kyun gunaahgaar rahe
dikha doon cheer ke dil dard-e-dil kahoon kab tak
zabaan pe kyun ye taqaaza-e-naagawaar rahe
tadap tadap ke uthaaunga zindagi ke maze
khuda na-karda mujhe dil pe ikhtiyaar rahe
sazaa-e-ishq ba-qadr-e-gunaah naa-mumkin
yahi bahut hai ki barham mizaaj-e-yaar rahe
zamaana us ke siva aur kya wafa karta
chaman ujad gaya kaante gale ka baar rahe
khizaan ke dam se mita khoob-o-zisht ka jhagda
chalo ye khwaab hua gal rahe na khaar rahe
jawaab de ke na todo kisi gareeb ka dil
bala se koi saraapa umeed-waar rahe
maza to jab hai yagaana ki ye dil-e-khudbeen
khudi ke nashe mein begaana-e-khumaar rahe
yagaana haal to dekho zamaana-saazo ka
hawa mein jaise bagoola kharaab-o-khwaar rahe
ज़माने पर न सही दिल पे इख़्तियार रहे
दिखा वो ज़ोर कि दुनिया में यादगार रहे
कहाँ तलक दिल-ए-ग़मनाक पर्दा-दार रहे
ज़बान-ए-हाल पे जब कुछ न इख़्तियार रहे
निज़ाम-ए-दहर ने क्या क्या न करवटें बदलीं
मगर हम एक ही पहलू से बे-क़रार रहे
हँसी में लग़्ज़िश-ए-मस्ताना उड़ गई वल्लाह
तो बे-गुनाहों से अच्छे गुनाहगार रहे
उभारती है हवस तौबा-ए-रिहाई की
कि दिल के साथ ज़बाँ क्यूँ गुनाहगार रहे
दिखा दूँ चीर के दिल दर्द-ए-दिल कहूँ कब तक
ज़बाँ पे क्यूँ ये तक़ाज़ा-ए-नागवार रहे
तड़प तड़प के उठाऊँगा ज़िंदगी के मज़े
ख़ुदा न-कर्दा मुझे दिल पे इख़्तियार रहे
सज़ा-ए-इश्क़ ब-क़द्र-ए-गुनाह ना-मुम्किन
यही बहुत है कि बरहम मिज़ाज-ए-यार रहे
ज़माना उस के सिवा और क्या वफ़ा करता
चमन उजड़ गया काँटे गले का बार रहे
ख़िज़ाँ के दम से मिटा ख़ूब-ओ-ज़िश्त का झगड़ा
चलो ये ख़्वाब हुआ गल रहे न ख़ार रहे
जवाब दे के न तोड़ो किसी ग़रीब का दिल
बला से कोई सरापा उमीद-वार रहे
मज़ा तो जब है 'यगाना' कि ये दिल-ए-ख़ुदबीं
ख़ुदी के नशे में बेगाना-ए-ख़ुमार रहे
'यगाना' हाल तो देखो ज़माना-साज़ों का
हवा में जैसे बगूला ख़राब-ओ-ख़्वार रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yagana Changezi
our suggestion based on Yagana Changezi
As you were reading Attitude Shayari Shayari