chaah thi mehr thi mohabbat thi | चाह थी मेहर थी मोहब्बत थी - Yashab Tamanna

chaah thi mehr thi mohabbat thi
us ki har baat hi qayamat thi

vasl tha qurb tha qaraabat thi
dil ko phir bhi ajeeb vehshat thi

ab to hum soch kar bhi hanste hain
awwal-e-ishq kaisi haalat thi

main bahut khush raha hoon us ke baghair
us ko is baat par bhi hairat thi

bas use choomte hi chhod diya
pattharon se mujhe to vehshat thi

main to kuch in dinon pareshaan tha
us ko kab bhoolne ki aadat thi

main hi us waqt tujh se bachda tha
jab tiri chaahaton mein shiddat thi

चाह थी मेहर थी मोहब्बत थी
उस की हर बात ही क़यामत थी

वस्ल था क़ुर्ब था क़राबत थी
दिल को फिर भी अजीब वहशत थी

अब तो हम सोच कर भी हँसते हैं
अव्वल-ए-इश्क़ कैसी हालत थी

मैं बहुत ख़ुश रहा हूँ उस के बग़ैर
उस को इस बात पर भी हैरत थी

बस उसे चूमते ही छोड़ दिया
पत्थरों से मुझे तो वहशत थी

मैं तो कुछ इन दिनों परेशाँ था
उस को कब भूलने की आदत थी

मैं ही उस वक़्त तुझ से बछड़ा था
जब तिरी चाहतों में शिद्दत थी

- Yashab Tamanna
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari