vasl bhi hijr tha visaal na tha
mil rahe the magar khayal na tha
mil rahe the ki dono tanhaa the
guftugoo mein bhi qeel-o-qaal na tha
mere aur us ke darmiyaan abhi
koi bhi silsila bahaal na tha
raaste khatm ho chuke the magar
waapsi ka koi sawaal na tha
ye bhi ik marhala tamaam hua
ho gaye the juda malaal na tha
vo tira husn ho ki ishq mera
koi paaband-e-maah-o-saal na tha
वस्ल भी हिज्र था विसाल न था
मिल रहे थे मगर ख़याल न था
मिल रहे थे कि दोनों तन्हा थे
गुफ़्तुगू में भी क़ील-ओ-क़ाल न था
मेरे और उस के दरमियान अभी
कोई भी सिलसिला बहाल न था
रास्ते ख़त्म हो चुके थे मगर
वापसी का कोई सवाल न था
ये भी इक मरहला तमाम हुआ
हो गए थे जुदा मलाल न था
वो तिरा हुस्न हो कि इश्क़ मिरा
कोई पाबंद-ए-माह-ओ-साल न था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Ulfat Shayari Shayari