tark ulfat mein bhi us ne ye rivaayat rakhi
roz milne ki puraani wahi aadat rakhi
tu gaya hai to palat kar nahin poocha main ne
warna barson tiri yaadon ki amaanat rakhi
kal achaanak koi tasveer bani kaaghaz par
muddaton sab se chhupa kar teri soorat rakhi
vo muqaddar mein nahin hai to usi ke dil mein
kis ne har shay se ziyaada chaahat rakhi
khud hi milta hai bichhadta hai yashb apne liye
aane-jaane ki ajab us ne suhoolat rakhi
तर्क उल्फ़त में भी उस ने ये रिवायत रक्खी
रोज़ मिलने की पुरानी वही आदत रक्खी
तू गया है तो पलट कर नहीं पूछा मैं ने
वर्ना बरसों तिरी यादों की अमानत रक्खी
कल अचानक कोई तस्वीर बनी काग़ज़ पर
मुद्दतों सब से छुपा कर तेरी सूरत रक्खी
वो मुक़द्दर में नहीं है तो उसी के दिल में
किस ने हर शय से ज़ियादा चाहत रक्खी
ख़ुद ही मिलता है बिछड़ता है 'यशब' अपने लिए
आने-जाने की अजब उस ने सुहूलत रक्खी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Kismat Shayari Shayari