koi achhi khabar aati nahin hai
shab-e-gham ki sehar aati nahin hai
vo mast-e-raahat-e-khwab-e-sehr hain
jinhen yaad-e-safar aati nahin hai
kahi par to yaqeenan hai kharaabi
b-zaahir jo nazar aati nahin hai
main sab ki khair maanguun is yaqeen se
dua to laut kar aati nahin hai
yashb ko dil se hijrat raas hai ab
kisi soorat vo ghar aati nahin hai
कोई अच्छी ख़बर आती नहीं है
शब-ए-ग़म की सहर आती नहीं है
वो मस्त-ए-राहत-ए-ख़्वाब-ए-सहर हैं
जिन्हें याद-ए-सफ़र आती नहीं है
कहीं पर तो यक़ीनन है ख़राबी
ब-ज़ाहिर जो नज़र आती नहीं है
मैं सब की ख़ैर माँगूँ इस यक़ीं से
दुआ तो लौट कर आती नहीं है
'यशब' को दिल से हिजरत रास है अब
किसी सूरत वो घर आती नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Nazar Shayari Shayari