taalluq us se agarche mera kharab raha
qasam safar ki wahi ek ham-rikaab raha
samajh saka na use main qusoor mera hai
ki mere saamne to vo khuli kitaab raha
main ek lafz bhi lekin na padh saka us ko
agarche vo bhi mera shaamil-e-nisaab raha
main maarifat ke hoon ab us maqaam par ki jahaan
kiya gunaah bhi to khadsha-e-sawaab raha
haqeeqaton se mafar chaahi thi yashb main ne
par asl asl raha aur khwaab khwaab raha
तअल्लुक़ उस से अगरचे मिरा ख़राब रहा
क़सम सफ़र की वही एक हम-रिकाब रहा
समझ सका न उसे मैं क़ुसूर मेरा है
कि मेरे सामने तो वो खुली किताब रहा
मैं एक लफ़्ज़ भी लेकिन न पढ़ सका उस को
अगरचे वो भी मिरा शामिल-ए-निसाब रहा
मैं मअरिफ़त के हूँ अब उस मक़ाम पर कि जहाँ
किया गुनाह भी तो ख़दशा-ए-सवाब रहा
हक़ीक़तों से मफ़र चाही थी 'यशब' मैं ने
पर अस्ल अस्ल रहा और ख़्वाब ख़्वाब रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Yashab Tamanna
our suggestion based on Yashab Tamanna
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari