aisa bhi nahin dard ne vehshat nahin ki hai | ऐसा भी नहीं दर्द ने वहशत नहीं की है

  - Yashab Tamanna

aisa bhi nahin dard ne vehshat nahin ki hai
is gham ki kabhi ham ne ishaat nahin ki hai

jab vasl hua us se to sarshaar hue hain
aur hijr ke mausam ne ri'ayat nahin ki hai

jo tu ne diya us mein izafa hi hua hai
is dard ki daulat mein khayaanat nahin ki hai

ham ne bhi abhi khol ke rakha nahin dil ko
tu ne bhi kabhi khul ke wazaahat nahin ki hai

is shahr-e-badan ke bhi ajab hote hain manzar
lagta hai abhi tum ne siyaahat nahin ki hai

is arz-e-tamanna mein kise chain mila hai
dil ne magar is khauf se hijrat nahin ki hai

ye dil ke ujadne ki alaamat na ho koi
milne pe ghadi-bhar ko bhi hairat nahin ki hai

ऐसा भी नहीं दर्द ने वहशत नहीं की है
इस ग़म की कभी हम ने इशाअत नहीं की है

जब वस्ल हुआ उस से तो सरशार हुए हैं
और हिज्र के मौसम ने रिआ'यत नहीं की है

जो तू ने दिया उस में इज़ाफ़ा ही हुआ है
इस दर्द की दौलत में ख़यानत नहीं की है

हम ने भी अभी खोल के रक्खा नहीं दिल को
तू ने भी कभी खुल के वज़ाहत नहीं की है

इस शहर-ए-बदन के भी अजब होते हैं मंज़र
लगता है अभी तुम ने सियाहत नहीं की है

इस अर्ज़-ए-तमन्ना में किसे चैन मिला है
दिल ने मगर इस ख़ौफ़ से हिजरत नहीं की है

ये दिल के उजड़ने की अलामत न हो कोई
मिलने पे घड़ी-भर को भी हैरत नहीं की है

  - Yashab Tamanna

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari