kuch bhi nahin hai paas mere ab sivaae yaad | कुछ भी नहीं है पास मिरे अब सिवाए याद - Yashab Tamanna

kuch bhi nahin hai paas mere ab sivaae yaad
shola sa jal raha hai dar-e-dil mataa'-e-yaad

tanhaaiyon mein bhi kabhi tanhaa nahin hoon main
aa baithti hai paas mere bin-bulaye yaad

shab-bhar main lutf leta raha hoon isee tarah
saari hi raat chalti rahi hai hawaa-e-yaad

aise bichhad ki dil mein koi baat rah na jaaye
kya jaaniye ki phir kabhi aaye na aaye yaad

thak haar ke vo mere hi pahluu mein soegi
din bhar jo maari maari firee saaye saaye yaad

kya haal kar liya hai zara haal-e-dil kaho
pehle to tum nahin the kabhi mubtala-e-yaad

main kar to loonga tark-e-mohabbat magar yashb
mumkin nahin ki us ki mere dil se jaaye yaad

कुछ भी नहीं है पास मिरे अब सिवाए याद
शो'ला सा जल रहा है दर-ए-दिल मताअ'-ए-याद

तन्हाइयों में भी कभी तन्हा नहीं हूँ मैं
आ बैठती है पास मिरे बिन-बुलाए याद

शब-भर मैं लुत्फ़ लेता रहा हूँ इसी तरह
सारी ही रात चलती रही है हवा-ए-याद

ऐसे बिछड़ कि दिल में कोई बात रह न जाए
क्या जानिए कि फिर कभी आए न आए याद

थक हार के वो मेरे ही पहलू में सोएगी
दिन भर जो मारी मारी फिरी साए साए याद

क्या हाल कर लिया है ज़रा हाल-ए-दिल कहो
पहले तो तुम नहीं थे कभी मुब्तला-ए-याद

मैं कर तो लूँगा तर्क-ए-मोहब्बत मगर 'यशब'
मुमकिन नहीं कि उस की मिरे दिल से जाए याद

- Yashab Tamanna
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Yashab Tamanna

As you were reading Shayari by Yashab Tamanna

Similar Writers

our suggestion based on Yashab Tamanna

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari